Beta janma dosh hai Mera

Beta janma dosh hai Mera
Beta janma dosh hai Mera

Jo Janma toh Gyan na tha
Ke yeh pavan Dhatri jo desh mera
Ek Purush Pradhan samaj hai
Jo Bhed Kare Beti bête me
Kiski ko Isme Kya inkaar hai

Dosh kiya jo beta janma ,
Mujhe ye Mallom na tha ,
Kitabe kopiya agar Bati toh ;
Behne Meri shikshit hogi ;
Beta Hoo is liye mujhe sirf
Kaam Karne ka Adhikar hai
Dosh kiya ko beta janma
Mujhe Shiksha ka Kaha Adhikar hai

Cycle Bati to Beti ko milegi ,
Kapde mile toh dress silegi ,
Bapu Kehta din Bhar mujh ko ; kaam karna hai dhabe pe tujkoo ;
Behan Teri jab cycle pe school jaye ; milo tak tu paidal jaye ;
Bapu mere pag dukhte hai ;
Beta tu ladki nahi woh kehte. Hai ;
Jo agar Mai Beti Hota ; cycle ka haqdaar toh Hota

Dosh kiya jo beta janma
Mujhe ye Mallom na tha
Cycle Bati toh Beti ko milegi
Uska hi sammaan hoga

Garbh me Jab Mai Marta hoo;
Shor na koi Hota hai ;
Agar Beti ka tiraskaar hua toh
Hahakar sa Hota hai ;
Bachpan Mera Khatro me Hota ;
Vikas Kewal betiyo ka Hota ;

Dosh kiya jo beta janma
Mujhe ye Mallom na tha ,
Laptop Bati to Beti ko milegi ;
Mujhepe Kaha Ehsaan hoga

Beti ko mile Shiksha ka Adhikar ;
Mujhe mile Rakshak avatar ;
Durgam kaam Bhi mujh ko Karne hai
Shiksha suvidha na mili toh Bhi
Raksha Sab ki Karni hai

Ma Kehti hai behen hai Teri ;
Raksha tujhko Karni hai ;
Meri Raksha kon Karega ..
Kya Meri nahi koi janani hai

Beti bachao Beti padhao ye hamare Nara hai
Beta janma dosh hai Mera
Nahi Mera koi Sahara hai

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*